Monday 2 January 2017

Software Kaise Banate Hai, Software Banane Ka Tarika kya Hai







आज देखेंगे की software kaise banate hai. Game तो खेला होगा पर क्या जानते हैं की game ya software banane ka tarika kya hoga? अगर नही जानते हैं तो आज मिल कर जानेंगे की software kaise banta hai.



Aap logon ne compute to use kiya hoga aur shayad jante honge ki software ki bharmar hoti hai computer par. Aaj ham chote se discussion mein kya, kaise, aur kyun janenge programming codes ke bare mein.

Software Kaise Banate Hai

अच्छा पहले ये बताओ आपको ये तो जानना है की कैसे बनता है ? par kya aapko malum hai iski definition? Nahi na, koi baat nahi dosto, sabse pehle iski definition ko jante hain.



Can read: Ameer Kaise Bane, Amir Banne Ke Tarike.


Software kya hota hai

बहुत ही सिंपल तरीके से समझे तो “ ye ek bhasha hai jise computer samjhta hai .” Agar technical term mein samjhe to “ Software ek program ya kehle set of instructions or applications hai jo manage ya control karta hai alag alag function of the computer.”

Hopefully, ab shayad aap samjh gaye honge ki matlab or function kya hota hai software ka. Ab ham aaj ka main topic dekhenge.

Software banane ka tarika kya hai


Achcha ham pehele software ko apne understanding ke liye types mein divide kar lete hain. Mere hisab se aap ise do tarike se dekh sakte hain.

Application software – ये एक ऐसा प्रोग्राम होता है जिसमे end user specific task ko kar sakta hai. Jaise documents banana, graphics design karna or online search etc. for example, google chrome, paint, or koi bhi browser etc.
System software – ये एक ऐसा प्रोग्राम है जो computer ko manage karta hai. Jaise ki Opertating system, file management utilities and DOS etc. For example, Linux, android, windows and unix etc.

चलिए अभी तो हमने सॉफ्टवेर के टाइप्स देखे हैं | अब हम देखेंगे की इसे बनाते कैसे हैं?

Can read: Laxmi Prapti, Dhan Prapti ke Upay.


Software Kaise Banate Hai

Bahut sare programming language है जिसे आप सिख सकते हैं | Yaad rakhe sab sikhne mein umar beet jayegi aur confuse hoge so alag. To kyun na koi specific programming language ko sikhein aur tabiyat se sikhein.

Jo programming language aap sikh sakte hain wo hai:


  • C/ C++ - C language ek low level programming language hai. Jo computer hardware ke sath achce se coordination kar sakta hain. C++ keh sakte hain advance version hai C language ka. Ye ek object oriented programming language hai jise use karke video games bhi banaye jate hain.
  • Java – Ye c++ se bhi easy to learn language hai. Bahot hi popular hai jise hum business software ya video games banane ke liye kar sakate hain.
  • Python – Jinka interest web development sikhne ka hai wo ye language sikh sakte hain. Bahut hi aasan language hai sikhne ke liye.
  • PHP - PHP bhi easy to learn language hai jise web development karne ki ichcha rakhne wale sikh sakte hain. Again ye bhi bahut hi easy to learn language hai jo light weighted MYSql ke sath use karne par effective result deta hai.


Note: Agar aapne c ya c++ language ko go through kiya hai to koi bhi dusre language mein easily maharath haasil kar loge.

Software banana ka tarika – Step 1

Dekhiye aaj ki date mein aapko free online tutorials bahut easily mil jayenge.




और ना जाने क्या क्या | Bas google par search kariye aur jaaniye ki kaise aap bina paise kharch kiye live tutorials ke jariye software banana sikh sakte hain.

software banane ka tarika – छोटा प्रॉजेक्ट (Step 2)

Ab aapne dekh liya ki kaun se language se aap window based aur kis language se aap web based software bana sakte hain.

Ab aapko steps me kaam karna hai:

  • Pehle seekhein
  • Practice kare
  • Project banaye


Ji haan, pehle chote chote programming codes banaye, jaise:

  • Clock banaye
  • Calculator banaye
  • Game banaye


Chote chote codings se aapko teen important madad mikegi:

  • Fundamentals clear honge.
  • Bugs fix kar payenge
  • Professional ban jayenge.


Hamesha yaad rakhna, practice makes men perfect. Agar aapko naam kamana hai to mehnat se jee naa churaye. Shuru mein ki hui mehnat aapko bahut aage le jayegi.

Conclusion

Aaj hamne dekha ki software banane ka tarika kya hai. Pehle aapko basic language sikhni paregi. Phir aapko practice karna hoga taki aap expert ho jaye aur debugging karne mein apko jara bhi time na lage.

Itna sab karne ke baad aap logon ko bataya karenge ki software kaise banate hai. Imagine kariye us pal ko jab aap sabke sath information share kar rahe hain. Isse do fayde honge aapko:

  • Successful life – Ji haan, bil gates ko to jante honge aap. Jo padhne mein achcha nahi tha par aaj achche achche logon ko job deta hai.
  • Aap jaan jayenge ki ameer kaise bante hain.


Agar aap kuch puchna chahte hain to hame comment section mein puch sakte hain. Otherwise, aap enjoy karo aur hame like ya tweet karo. Apka har ek tweet or like hamari team ko motivate karega aur achcha likhne ke liye for Make money tutorial.


1 comment: