Monday 16 January 2017

Facebook Se Paise Kaise Kamaye, Kamane Ke Best Tarike







Aaj sikhenge ki Facebook se paise kaise kamaye jate hai. Aap part time ya fulltime earn kar sakte ho. Dekho aur seekho ki facebook se paise kamane ke tarike kya hai.




Simple baat hai doston, facebook to time pass ke liye hai. Agar uss time pass se aapka garibi ka time pass ho jaye aur ameeri ka duar chal pare to kya bura hai? Bas apko pata hona chahiye ki paise kaise kamate hai facebook se?


facebook se paise kaise kamaye – Prerequisite

Ji haan, facebook se paise kamane ke tarike se pehle hum dekhenge ki hame kya kya cheejon ki jarurat hogi:

  • Internet connection – Achchi speed wala internet jo hame bore na kare apni slow speed se.
  • Smart phone/PC – Aapke pass smart phone, tablet, pc ya laptop mein se kuch bhi ek hona chahiye.
  • Friend list/ Groups – Ji haan, ye bahut jaruri hai ki aapki friend list ya group users achchi khasi tadaat mein honi chahiye.

Can read: Mobile Se Paise Kamane ke Tarike, Sabse unique Tarika.

Bas doston, itna bahut hai apko khub sare facebook se paise kamane ke liye. Ji haan, bahut hai. Bas yaad rakhiye ki bina audience ke achchi se achchi film flop ho jaati hai.

Theek usi tarah bina audience ya user group ya fan following ke aapka facebook se paise kamane ka sapna, sapna hi reh jayega. Chaliye ye sab to jarurat ka samaan tha jo hame chahiye tha. Ab ham dekhenge ki facebook se paise kaise kamaye jaa sakte hain.


Facebook se paise kamane ke tarike


Ab ham dekhenge ki log facebook se paise kaise kamaye? Ji haan, isiliye hi to aap hamari website par aye hain. Ab aaye hain to ham milkar dekhenge ki kaise koi part time ya full time paise kama sakta hai facebook se.

Can read: Dollar Kamane Ka Tarika. Sabse best tarika.

Make more friends

Jaisa ki hamne pehle hi kaha tha ki friends ki ya user ki list bahut lambi honi chahiye. Lambi matlab jitne jyada friends honge apke Facebook group ya friends list mein utni hi jyada security

Facebook page create and sell

Aap sabhi ek cheej mante ya jaante honge. Jo dikhta hai wo bikta hai. Theek waise hi jo facebook page popular hai ya aur relevant hai kisi company ke liye to wo use kharid leti hai. Ji haan, ye sach hai aur hum ise example se samajhte hain.

Apka ek beauty product hai jo aap market karna chahte ho. Ya to aap bare level par tv ads ya newspaper ads se karoge. Aur yaa to aap affiliate marketing use karoge ya chote se investment se apne product ki marketing karoge.

Agar aap facebook page kharidte ho jiss par fashion ya beauty tips ya gossip share ki jaati hai to aapke teen fayede honge:

  • Money saving marketing – aap apne products ko free mein introduce kar sakte ho modern audience ke sath.
  • Mouth publicity – Ji haan, marketing ka sabse bharose mand tarika hai mouth to mouth publicity. Ek use karega aur achcha lagne par viral kar dega apke product ya services ko.
  • Audience across the world – apke facebook page ke audience jaruri nahi ki apke region ke ho. Wo duniya ke kisi bhi kone ke ho sakte hain.


Ab socho aapne popular facebook page banaya hai aur company use kharidna chahti hai apne interest ke liye. To batao aap apni mehnat ka kitna interest loge?

Can read: Essay Writing Se Paisa Kamane Ke Tarike.


Facebook group create and sell

Ji haan, aap facebook group ko bhi sell kar sakte ho. Kai baar kya hota hai like minded log ek group create karte hain aur kai log unhe join aur market karte hain unke group ko. Agar apke group mein member ki list bahut achche numbers mein hai to samajh lo apki nikal pari.

Koi bhi company apne product ko market karne ke liye money saving ideas dhundhti hai. Aur agar apke group se hajaron log jure hain directly or indirectly to samajh lo ki company apko muh mange daam degi facebook group ko kharidne ke liye.

Note: Jo apko lagega ki jyada amount hai par company ke liye wo bahut hi kam amount hoga apne product ko market aur re-market karne ke liye. Facebook post ko sell

Ji haan, ye bhi ek bahut hi kargar tarika hai Facebook se paise kaise kamaye janne ka. Agar aapka koi popular facebook page hai, jis par hajaro ya lakho logon ne like kiya hai. To aap sirf post ko bech kar bhi paise kama sakte ho facebook se.

For example, companies ko apne website par traffic lane ke liye ek way chahiye. Aur agar apke pages ko khub sare likes mile hain to unko wo tarika mil gaya hai. Wo apko pay karenge unke liye koi post likh kar ke link provide karne ke liye.

Can read: Whatsapp Se Paise Kaise Kamaye. Asan aur asardar tarika janiye.

Uss link ki wajah se apko achche paise mil jayenge aur us company ko achche traffic mil jayenge. Aur ye sach mein facebook se paise kaise kamaye ka khoobsurat tarika hai.

Affiliate marketing

Ab dekhiye facebook page ban gaya, facebook group bhi ban gaya aur post aur user count bhi achcha ban gaya hai. Par kya aap jante hain ki Affiliate marketing se aap kuch khas kama sakte hain.

For example, agar group fashion par hai to aap beauty and fashion se related product ko market kar sakte hain apne post, group ya facebook page ke jariye.

Suppose karo apke group mein 100 log hain aur apne koi naya beauty product market kiya apne group mein. Aur uss group mein se sirf 3 logon ne apne group mein promot kiya apke link ko. Aur ese hi share hota gaya to socho ki kitne group mein ye share hoga.

Can read: Website, Blog Se Paise Kaise Kamate hai ? Janiye aur ban jayiye business man.

Aur haan ye sirf facebook tak simit nahi rahega, aap same link ko other social sites par bhi share kar sakte ho. Aur laxmi prapti, Dhan prapti ke upay, tarike khoj sakte ho.

PPD network se earning

Ye bhi ek achcha tarika hai facebook se paise kamane ka. Aap pay par download networks ka istemal karke achcha earn kar sakte hain. Jaise aap koi document, tutorial, video, jokes, viral videos ko share kar sakte hain.

Apko kuch nahi karna hai, bas achche free ya paid pay par download network dhundhna hai aur unke link ko share karna hai. Har download par apko kuch amount mila karega.

Can read: Ghar Baithe Paise Kaise Kamaye ? Janiye sabse best money making tips from home.


Giveaway methods

Creative insaan kuch bhi soch sakta hai. Aap bhi facebook se paise kaise kamaye ya kamane ke alag alag tarike dhundh sakte ho. Jaise ke giveaway methods, aap apne facebook par koi contest organize kar sakte ho. Aur winners ke liye prize announce kar sakte ho.

Jaise maan lo apko beauty tips par article likhna hai. To aap apne facebook page par post daal sakte ho ki jiska beauty tips par article achcha aur unique hoga use kuch prize milega ya phir cash amount milega.

Can read: Software Kaise Banate Hai ? Software se paise kaise kamate hai? Sab Janiye.

Aapko iss method se teen fayde honge:

  • Sell those articles – Aap un articles ko paid to write websites ko bech sakte ho.
  • Facebook fans – apke facebook ke user list bhi khoob badhegi. Jo companies ko attract karegi.
  • Free to earn – Isme aapka zero investment hai. Aap logon se ideas, likes, ya shares loge aur aage achche damon par bechonge.


Promote own product

Dusro ke product ya services ko market karne par aap kuch percent earn karoge. Par aap apne product ke marketing aur uske sale hone par 100 percent earn kar sakte ho. To apna hi product ya service ko kyun na try kare.

Like or share karke

Facebook par kya hota hai?

  • Like
  • Comment
  • Share


Bas aap isi funda ko use karke paise kama sakte hain. For example, new business ya old business ko apne facebook par like ya coments chahiye aur apka achcha khasa network hai. To aap apne influence ko use karke uss company ko khub sara like ya comment dila sakte ho. Aur wo company apko uske badle pay karegi.

Can read: Ameer Kaise Bane, Amir Banne ka Tarika.


Conclusion

Hamne aaj dekha ki facebook se paise kaise kamaye ? alag alag facebook se paise kamane ke tarike aur upay dekhe. Agar apko hamara aaj ka topic facebook se paise kaise kamaye achcha laga to please share kare apne friends ke sath across the world. Kyun? Kyunki sharing is caring hota hai, doston.

Can read: Laxmi Prapti, Dhan Prapti ke Upay, Tarike.

Agar apko kuch puchna hai to puch sakte hain. Otherwise, aap bas hame like kare facebook par ya tweet kare twitter par. Aapka har ek post hame motivate karega Facebook se paise kaise kamaye jaise aur Make money tutorials likhne ke liye.


No comments:

Post a Comment