Thursday 2 February 2017

Dant Dard Ka Ilaj, Gharelu Upay, Tarika 1 min Mein







Aaj dekhenge ki dant dard ka ilaj kya hai. Ji haan, dant ke dard ka gharelu ilaj, upay aur tarike jane. Doston, pehle kaunsa danton ke doctor hote the? uss waqt to dadi ma ke home remedies hi hote the tooth pain ka ilaj karne ke liye.



Bas wo hi sab hum aaj dekhenge. Kyunki kabhi raat ko aapko dard hua to kya karoge. Uss waqt to aap dant dard ka gharelu ilaj hi dhundhoge.


Dant dard ka Ilaj se pehle Karan Jane

Ji haan, dant dard ka gharelu ilaj to aap dhundh rahe ho. Par kya aap jante hain uske karan kya hai? Kyunki karan janenge to hum home remedies for tooth pain nahi dhundhenge. Uss toothache ko hi khatam karne ki koshish karenge.

  • Infection – Agar dant mein dard hai to uska karan infection bhi ho sakta hai.
  • Gum disease – Agar masuro mein koi problem ho to uski wajah se bhi tooth pain hota hai.
  • Damaged filling – Agar teeth mein apne feeling karwai hai to uske damage hone ya sahi tarike se na hone par bhi danton mein dard rehta hai.
  • Cavities – Agar tooth pain ho raha hai to uska ek reason cavities bhi ho sakta hai.
  • Tooth decay – Agar apka danth tut gaya hai ya ghish gaya hai to uski wajah se bhi dant mein dard rehta hai.
  • Jaw problem – agar apke jaw mein kabhi chot lagi hogi or wo puri tarah se theek nahi hua hai to uski wajah se bhi toothache hota hai.

Ji haan, ye to the kuch karan jinki wajah se apke danto mein pain ho sakta hai. Ya phir hota hoga, ab agar hame reason pata hai to next time hum koshish karenge uss reason ki wajah se dubara dant mein dard na ho.

Can read: Kamar dard ka ilaj, Back pain in Hindi.

Doston, ab hum dekhenge ki dant dard ka gharelu ilaj kya hai. Aur sikhenge ki kabhi bhi apko dard ho or doctor se dur ho to kaise tooth pain ka ilaj kiya ja sakta hai.

Dant Dard Ka Ilaj, Upay in Hindi


Chaliye ab intejar ki ghariyan khatam hui aur mil kar jante hain kid ant dard ka gharelu ilaj kya hai. Wo bhi Hindi mein taki har koi chahe wo shehar se ho ya gaon se. Samajh sake home remedies for tooth pain in Hindi.

Hing (Asafoetida):

  • Agar dant mein kide lage hain to jis dant mein dard hai usper hing rakh den, dard thodi der mein theek ho jayega.
  • Hing ke sath kapoor milaakar lagane se, aur hing ke sath gungune pani ka kulla karne se jaldi hi dard chala jata hai.
  • Hing mein thoda nimbu ka ras ya mosambi ka ras milkar garm kar len, phir cotton (kapus) mein lekar dard wale dant mein lagaye rakkhen kuch der tak. Araam jaldi hi ho jayega.


Can read: Bukhar ka gharelu ilaj in Hindi.

Try kar ke dekho aur aap bhi kahoge ki Asofoetida best tarika hai dant dard ka ilaj karne ke liye.

Safed fitkari:

Fitkari, sendhaa namak aur haldi equal quantity mein lekar pees len. jab kabhi dant mein dard ho ya masudo ke dard mein bhi aap iss mishran se manjan kar sakte hain. Unglion se halke hanth lagaa kar manjan karte rahe iske ghol ko pet mein na jane den, thookte rahe. Baad mein kulla kar len. Isse 24 ghanto mein 2 bar zarur karen.

Adarak (Ginger) :

Thoda sa adarak lekar jis dant mein dard ho uske niche dabaa len aur dheere dheere chooste rahen. Dant dard theek ho jayega.

Laung (cloves):

Jis tarah adarad kaam karta hai theek usi tarah laung bhi hai. Jis teeth mein dard ho uss dant se ek laung dabaa len iss tarah ki uska juice dard wale dant ko milta rahe kuch der tak. Isse bhi apko kafi araam hoga aur loung bhi ek best tarika hai dant dard ka ilaj dhundha jaye to.

Can read: Baal lambe karne ke gharelu ilaj in Hindi.

Tulsi (basil):

Tulsi ke patto ko pese hui kali mirch ke sath mila len. iska choda sa laddu banal en aur dard wale dant ke niche rakh len. jald hi araam ho jayega.

Palak (Spinach):

Kacche palak ko chabane se bhi fayda mehsoos karenge.

Amrood (Gauva):

Amrood ke patto ko half glass pani me ubaal len. jab ye kadha taiyyar ho jaye to isse kulla / garara karne se araam hoga.

Pudinda (Mint):

Ek glass pani mein pudina ke kuc patto ka juice milkar garara karne se dant ke dard me kafi araam milega.

Lehsun (Garlic):

Lehsun ke 2 – 4 kaliyon ko roz chabane se dant ke kide dheere dheere gayab ho jate hain aur dant ka dard bhi.

Can read: Health status, quotes for Whatsapp, Facebook.

Sarso ka tel (Mustard Oil) aur Namak (Salt):

Thoda Namak mein 7 – 8 boonde sarso ke tel ka mila kar dant aur masudo mein halke hanth se massage karen. Isse dant bhi saaf ho jayenge aur dant ka dard bhi. Din mein ek bar iss kriya ko karne se dant dard kabhi nhi hoga.

Pyaaz (Onion):

Khane ke sath khayen ya aise hi chabayen kyunki ismein kai aushdhiya gun hain jo apko dant dard se nijaat dila sakta hai.


Conclusion

Doston, aaj hamne dekha ki jarurat pare to dant dard ka ilaj, upay ya gharelu nuskhe kaise use kar sakte hain. Shayad apke baro ne bhi kabhi esa kuch use kiya hoga jisne apko toothache se aram pahunchaya hoga.

Can read: Sick status, quotes for Whatsapp, Facebook.

Agar apko hamara content dant dard ka gharelu ilaj achcha laga to share kare apne friends ke sath. Infact, aap hamare liye tweet or like kar sakte hain. Kyunki apka har ek like ya tweet as a vote count hoga hamare dedicated team ke liye. Jo aur bhi lagan aur mehnat se apke liye likhenge sehat se jure articles. Enjoy kare hamare health tips ke collection ko.


No comments:

Post a Comment