Monday 6 February 2017

Ghutno Ke Dard Ka Ilaj, Gharelu Upay, Upchar In Hindi







Aaj dekhenge ghutno ke dard ka ilaj, gharelu upay, upchar in Hindi. Top, best, fast home remedies for knee pain in Hindi. Ji haan, ghutno ke dard ka ilaj aaj kal yuva log bhi dhundhte hain. Ya to apne liye ya apne jaise dusre young generation ke liye.



Knee pain ek age ke baad logon ko mehsoos hota hai. Yani ki umar badhne ke sath sath ye apko pareshan karta rahega. Par kya aap jante hain ki ye knee pain ki neev kahin pehle par jati hai. Aur hamare dhyan na dene par ye pain aur serious ho jata hai. Jab serious hota hai to hum ghutno ke dard ka ilaj dhundhte rehte hain.

Aaj dekhenge ki ghutno ke dard ka karan kya hai? Kyun aur kaise hum ghutno ke dard ka ilaj, gharelu upchar kar sakte hain.


Ghutno Ke Dard Ka Ilaj – Kaaran Jano

Ji haan, pehle to hame kaaran pata hona chahiye kisi bhi pareshani ka. Isliye ghutno ke dard ka gharelu upchar karne se pehle hame uska kaaran pata hona chahiye.

  • Winter season – Thand ke mausam mein bhi joints mein pain hote hain. Jab adhik thand parti hai to.
  • Excessive Walk – agar aap ka kaam jyada chalne ka hai to bhi apke pairon or ghutno mein dard ho sakta hain.
  • Weight put on - Agar apka weight badh jata hai to uski wajah se bhi ghutno ki mash peshiyan kamjor hoti hai. Jiski wajah se apko knee joint mein pain mehsoos hota hai.
  • Lubricant Kam hona – Ji haan, body ke joints mein taral padarth hota hai. Jiski wajah se joints move hone par pareshani nahi hoti hai. Agar ye joint pain ka taral padarth kam hota jayga to samajh lo ki apka joint pain aur serious hota jayga.
  • Excessive work – Agar aapne apne jawani mein bahut hard work kiya hai. Ya esa koi kaam kiya hai jiski wajah se knee joint par asar parta ho. To samajh lo ki age badhne ke sath apka joint pain bhi apko takleef dega.
  • Nutrition ka abhav- Agar apke khane mein paryapt matra mein protein aur calcium nahi hai. To bhi iski deficiency ki wajah se apko joint mein pain hoga.

Can read: Hatho ko gora karne ke gharelu nuskhe in Hindi.

Aise hi kai wajah se apko takleef hogi jodo mein. Aur aap phir dhundhoge ghutno ke dard ka ilaj, gharelu upchar. Koi baat nahi, agar pain hai to uska ilaj bhi hum log mil kar dhundhenge.

Ghutno ke dard ka ilaj in Hindi


Ab hum janenge asaan aur free home remedies for knee pain. Agar aap kar sake to apke do fayde honge. Ek apko age ke sath ye problem pareshan nahi karegi aur dusra aap purane dino mein bhi jawan feel karenge.

Oil massage

Sarso ke tel se maalish karne se apko bahut araam milega. Aur ye ek kargar upchar hai ghutno ke dard ka ilaj mein. Bas choti si vidhi hai:

  • 4-5 garlic ke pieces lo.
  • Sarso ke tel mein daal kar garam kar le.
  • Garam garam sarso ke tel ko apne knee joints par lagayein.


Note: Apko tel ko garlic ke lal hone tak rakhna hai. Aur body par use karne layak garam rahe iska dhyan rakhna hai.

Lime and turmeric paste

Agar aap haldi aur chune ka paste lagate ho to apko ghutno ke dard ka ilaj asaani se mil jayga. Ise banana bhi bahut asaan hai:

  • Haldi aur chuna lo aur use sarso ke tel mein mila lo.
  • Thore der iss paste ko garam kar lein.
  • Phir laga lein ise

Can read: Dant dard ka ilaj, gharelu upay in Hindi.

Din mein ise do bar use karo aur dekho apko ghutno ke dard se nijaat mil jayga.

Vitamin D/ Calcium

Agar apke body mein calcium aur vitamin d ki kami hai to samajh lo ki apke joint mein to pain hoga hi. Isliye Natural tarike se apne body mein Vitamin D aur Calcium ki kami ko dur kare.

  • Vitamin D – suraj ki kirano se vitamin-D milta hai. To roj subah morning walk par nikalna na bhulein.
  • Calcium – Calcium chahiye to milk ka sevan jarur kare. ho sake to din mein two times to jarur karein.


Haldi wala milk

Dekhiye haldi wale dudh ke do fayde hain:

  • Milk se calcium milega.
  • Haldi apne aap mein kai dard ki bimariyon ka ilaj hai

Jab dono mil jaye to apko jodo ke dard se araam mil jayga.

Yoga

Agar ghutno ke dard ka ilaj chahiye to yoga sabse best hai. Kuch yoga asan jo aap follow kar sakte hain wo hain:

  • Tadasana
  • Trikonasana
  • Bhujangasana
  • Makrasana
  • Veerasana

Can read: Kamar dard ka ilaj, Home remedies for back pain.

Ji haan, ese hi kuch yoga poses apko karne honge agar apko apne ghutno ke dard ko dur bhagana hai to.

Note: Koi bhi yoga asan professional ke presence mein hi karein.

Garam pani se massage

Ji haan, agar aap sabse simple aur easy ghutno ke dard ka gharelu upay puchenge to ye sabse best hai. Bas apko thori si tayyari karni hogi, jaise ki:

  • 1 litre water mein two tea spoon salt ko mila lein.
  • Phir uss pani ko 5 -7 minute tak garam kare.
  • Saaf kapre ko garam pani mein dale aur apne knee joint par sek karein.
  • Daily iss prakriya ko 30 minutes tak karein.


Can read: Bukhar ka gharelu ilaj, Home remedies for fever in Hindi.

Conclusion

Aaj hamne dekha ki Ghutno ke dard ka ilaj, upay or gharelu upchar kya hai Hindi mein. Agar apke friends ya relative ko agar ghutno ke dard ki shikayat hai to please unke sath jarur share karein.

Can read: Baal lambe karne ke gharelu nuskhe in Hindi.

Agar apko hamara content on ghutno ke dard ka gharelu upchar in Hindi achcha laga to please like kare facebook par ya tweet kare hamare liye. Kyunki apka har like ya tweet hamari team ko motivate karega aur achcha aur interesting likhne ke liye. Agar aap chahe to hamare Health tips collection ko dekh sakte hain.


No comments:

Post a Comment