Tuesday 7 February 2017

Pet Ki Gas Ka Gharelu Upchar, Ilaj, Upay In Hindi







Aaj dekhenge pet ki ga ka gharelu upchar, ilaj, upay or tarika in Hindi. Simple, best, jaldi asar karne wala pet mein acidity ka ilaj, upchar ya treatment in Hindi. Ji haan, aapke pass sabkuch ke liye time hoga par apke apne health ke liye bilkul time nahi hoga. Jab problem aati hai to hum tarike dhundhte hain bachne ke liye. Jaise ki aap dhundh rahe hain pet me gas ke upay in Hindi.



Koi baat nahi, der aye durust aye. But yaad rahe ki healthy living kahin jyada jaruri hai high standard living se. Chaliye doston, dekhte hain ki pet ki gas ka ilaj in Hindi ya keh lein home remedies for acidity.


Pet Ki gas ka Ilaj in Hindi – Karan Jano


Ji haan, doctor pehle check up karta hai phir uska ilaj batata hai. Thik waise hi home remedies for acidity ko use karne se pehle apko uske hone ka karan janna chahiye.

Can read: Bukhar ka gharelu ilaj, Home remedies for fever in Hindi.

  • Khana jaldi khana – Agar aap jaldi jaldi bina theek se chabaye khana khate ho to aap acidity ko bulawa dete ho.
  • Rajma/kabuli chana – Ye jaldi pachte nahi hain aur jinke pachan tantr mein kuch kami hai to unko gas ho sakti hai.
  • Phool ya patta gobhi – Inko khane se bhi gas hoti hai. Aur apne ye notice kiya hai to please iska khana avoid kare.
  • Khali pet – Agar apka breakfast bread butter ya kuch halka ahaar hota hai to lambe samaye tak khali pet rehne se bhi gas hota hai.
  • Age factor – pet me gas ki problem age badhne ke sath sath bhi aati hai.
  • Oily or fast food – Agar aap fast food ya oily khana jyada khate hai to bhi aapko acidity ki shikayat ho sakti hai.
  • Milk – Agar apka digestion system milk ko digest nahi kar pata to apko gas ki problem hogi.
  • Over eating – Ji haan, agar aap jyada kha lete ho to bhi gas ki shikayat ho sakti hai.

Can read: Ghutno ke dard ka ilaj, upchar in Hindi.

Abhi hamne dekha ki kya karan ho sakte hain acidity ke? Aur agar dekha jaye to pet ki gas ka gharelu upchar uske karan pata karne se hi shuru ho gaye hain. Ab hum pet ki gas ka ilaj in Hindi mein dekhenge.

Pet ki gas ka gharelu upchar in Hindi


Chaliye doston, ab dekhein ki aisi kaun ski home remedies hai jo apko pet me gas se chutkara dilayengi. Yaad rahe doston, purane jamane mein log ye hi sab nuskhe apnate the.

Can read: Baal lambe karne ke gharelu nuskhe in Hindi.

  • Methi khaye aur pet ki gas ka ilaj kare-Methi ke beej ko pani mein daal kar ubale. Aur channe ke bad pani ko pee lein. Apke pet ki acidity choomantar ho jayegi.
  • Adarak – Gungune pani mein adha spoon adarak ke churan ke sath chutki bhar sendha namak aur hing mila le. Iske sevan karne se bhi apke pet ki gas ka gharelu upchar ho jayega.
  • Papita khaye – khane ke baad papita mein sendha namak aur kali mirch chirak lein. Sath mein thora nimboo ka ras bhi mila lein. Ye tarika apke pet ki acidity ko dur bhaga dega.
  • Muli ka Juice – Ji haan, agar aap muli ke ras mein kali mirch aur jeera ka powder mila ke piyenge to apko aram milega. Aur ye sabse kargar tarika hai pet me gas ke upay mein se.
  • Black salt – Salty khana to aap khate hi ho. Usmein black salt ka istemal kar sakte ho.
  • Eat Fruits – Jo fruits apko gas hone se bachaye wo hi khayein. Jaise ki amrood, santra and apple etc.
  • Gur ka sevan kare – Ho sake to khana khane ke baad gur ka sevan jarur karein.
  • Pudina – Pudina apke pet ki gas ka gharelu upchar mein se best upchar hai. Garmiyon mein iska juice piyen aur sardiyon mein iski chatni khayein.
  • Haldi/Turmeric – Ji haan, haldi apne aap mein hi ek dawa hai. Haldi aur sendha namak ko pani mein milayein aur use pee jayein. Ye apke acidity ko dur karne mein kaafi kargar hogi.
  • Ajwaaine – agar apke pet mein gas hai ya pet mein dard ho raha hai to aap ajwain ko namak ke sath chaba sakte hain. Apki gas se larne mein apko ye madad karegi. Dekhna 10 – 15 minute mein hi apko araam milega.
  • Kadhi patta – Ek baarik mixture bana lein kadhi patte, jeera, kali mirch, sabut dhaniya, sendha namak aur laung ka. Aur jab bhi aap khana khayein uske baad iss churan ka sevan kare pani ke sath.
  • Dhaniya – Ek glass pani ka lo aur usme two spoon sukha dhaniya bhigo lo. Raat bhar use chor do aur subah use achche se chan ke pee lo. Dekhna apke acidity ke jaane ka time aa jayega.
  • Honey/shahad – Agar aap daalchini aur shahad ko barabar matra mein lete hain to apke pet ki acidity ko rokne mein bahut hi kargar upay hoga ye.

Can read: Hatho ko gora karne ke gharelu nuskhe in Hindi.

Doston, ye kuch ese upay hai jisse apke pet ki gas ka gharelu upchar ho sakta hai. Ye acidity ya gas kuch aur nahi bas hamare reluctant nature ki wajah se hote hain. Ji haan, wo bhi apni health ko ignore karne se aise problems hoti hai.

Conclusion

Aaj hamne dekha ki pet me gas ke upay, ilaj, upchar kya hai Hindi mein. Ji haan, agar ham apni sehat ka khayal rakhenge to hame kisi bhi bimari ka ilaj dhundhne ki jarurat nahi paregi. Phir chahe wo pet ki gas ka ilaj in Hindi ho ya kisi or tarah ki bimari ka ilaj ho.

Can read: Dant dard ka ilaj, gharelu upay in Hindi.

Can read: Kamar dard ka ilaj, Home remedies for back pain in Hindi.

Agar apko hamara content on pet ki gas ka gharelu upchar ya upay in Hindi achcha laga to please hame like kare facebook par. Aap chahe to hamare liye tweet bhi kar sakte hain. Apka har ek tweet or like hamare liye prize se kam nahi hoga. Ye hamari team ko motivate karega aur achcha likhne ke liye jo apke liye fayde mand ho. Aap chahe to enjoy kar sakte hain hamare health tips collection ko.


No comments:

Post a Comment