Friday 23 December 2016

Laxmi Prapti, Dhan prapti ke Upay,Totke in Hindi







आज हम dhan prapti ke upay, totke, tips aur tricks के बारे में जानेंगे | Laxmi prapti, dhan prapti ke totke वो भी achuk upay in hindi में |




लोग कहते हैं की भगवान कुछ लोगों पर ज़्यादा मेहरबान होता है | या तो वो लोग जुठ बोलते हैं या फिर भगवान पर इल्ज़ाम लगाते हैं | Kyunki kai garib log niche se uppar aye hain. जैसे dhirubai ambani, gulshan kumar [T-series], और हमारे प्यारे Narendra modi ji.


Laxmi prapti, Dhan Prapti ke Upay, totke in Hindi

चलिए देखें की इन लोगों ने एसा क्या किया होगा जो भगवान के वो सबसे प्रिय हुए होंगे |



Upay No. 1 - Grah Kalesh/ग्रह कालेश

Aapsi jhagre, man mutav se bache. Kyunki ghar mein shanti nahi hogi to apka khud ka man ghar mein nahi lagega to maa laxmi ka vaas aapke ghar mein kaise bane rahega?

Can read: Paise kamane ke apps kya hai ? Janiye puri jankari hindi mein.

Upay No. 2 – Tulsi Mata ka paudha / तुलसी माता का पौधा

Agar aapke ghar ke andan mein tulsi mata ka paudha lagate hain aur roj unko diya dikhate hain to aapke ghar mein sukh aur shanty ka vaas hoga.

Note: शालिग्राम को रखना ना भूलें |

Upay No. 3 सूरज निकलने / Suraj nikalne se pehle uthe

Apka din suraj ugne ke baad se nahi balki uske nikalne se pehle shuru hona chahiye. Naha dho ke puja karein aur phir nashta ya dusra kaam kare.

Note: सॉफ सुथरे मन से की गयी पूजा से लक्ष्मी माँ प्रसन्न होती है |

Upay No. 4 टूटे फूटे बर्तन / Tute Fute bartan na rakhe

Jaise tute huye gilas se paani ris jata hai waise hi tute huye kismet se laxmi ruth jati hai. Agar apke ghar mein tute huye bartan hai to abhi ka abhi badal dale.

Upay No. 5 – ज़ुठे बर्तन / Juthe bartan na chore

Juthe bartano ko dekh kar jaise aapko achcha nahi lagta waise hi laxmi maa ko bhi achcha nahi lagega. Jab manushya ho kar ham gandgi pasand nahi karte to dev lok ke dev kaise uss ghar mein vaas kar sakte hain.

Can read: Online paise kamane ke 100 tarike. Wo bhi free upay to earn.

Upay No. 6 – शाम को झारू / sham ko jharu na lagaye

Ghar saaf rakhe aur jharu aur pocha kare. Mana jata hai isse laxmi maa prasann hoti hai. Par suraj dhalne ke baad jharu naa lagaye, mana jata hai ki suryast ke baad jharu nahi marna chahiye.

Upay No. 7 – पूजा घर / Pooja ghar alag rakhe

Dekha gaya hai ki log kabhi rasoi ke pass ya sone ke kamare mein pooja ghar bana lete hain. Dono hi jagah pavitra nahi hoti. Ek jagah juthe bartan rakhe jate hain to dusre jagah log sote hain.
Kripa kar ke apne ghar mein koi ek kona dekhein jo hamesha saaf rehta hai aur wahan bhagwan ki puja archna kare. log bhagwan ko to stapit kar lete hain par saaf safaai bilkul nahi rakhte. Kripya mandir kea as paas saaf safayi rakhe.

Can read: Facebook se paise kaise kamaye ?

Upay No. 8 – धोखा देने / Dhokha dene aur khane se bache

Bahut se log dhokha dekar paisa to kama lete hain. Par wo hi paisa unke kisi kaam nahi ata, kabhi bimari mein to kabhi income tax ki raid mein pakra hi jata hai.
Bhagwan rusht huye to samjh lo ki aap kabhi paisa sanjo ke nahi rakh sakte. Hamesha laxmi ji ko sache man se pane ki socho.

Upay No. 9 – Bistar par bhojan na kare

Bhojan to kahin bhi kar sakte hain phir bistar par kyun nahi? Bistar par chuta hua ek bhi ann ka dana apke pairon se lagega. Jiska sidha matlab hai ann ka apmaan karna. Agar annpurna devi rusht hogi to laxmi maa kaise prasann hogi?

Can read: Paise Kaise bachaye, money saving tips kya hai ?

Upay No. 10 – महिलाओं / mahilaon ka samman kare

Ji haan, stri koi bhi ho, agar aap unka samman nahi kar sakte to laxmi maa kaise aapke ghar mein vaas karegi? Wo bhi to naari shakti ka pratik hai.

Upay No. 11 – ईष्ट देव / Isht dev ki puja roj kare

Jo manushy apne isht dev ya devi ko naraj karta hai usse sabhi devi devta naraj ho jaate hain. Isliye apne isht dev ko yaad karna naa bhule. Jis din unki puja nahi kar pate uss din kamse kam unko man mein jarur naman karein.

Can read: Mobile se paise kaise kamaye ?

Upay No. 12 – मकरी के जालों / Makri ke jaalon se bache

Makri ke jaale jaise kire makaoron ko jaal mein phasaa lete hain waise hi bhagwan ki kripa ko ham tak pahunchne nahi dete. Ghar mein jaale hain to saaf safai ka dhyan nahi rakha gaya hai. Bhagwan ki kripa pana hai to makri ke jaalon ko bhagana hai samjh lo.

Upay No. 13 – Laal kapra

Jahan dhan ko rakhte hain wahan laal kapre ko jarur rakhe. Jaise devi maa ko laal chunariya chadhai jati hai thik waise hi dhan ki devi maa laxmi ko bhi laal kapre se dhak kar rakhein. Logon ki buri najar se bhi bachata hai ye upay.

can read: Online dollar kamane ka tarika kya hai?

Upay No. 14 – Bhagwan puja phir kaam duja

Log jab dukhi hote hain ya mushkil mein hote hain tabhi bhagwan ko yaad karte hain. Sukh mein to bhagwan ko paraya hi kar dete hain, jiske parinaam swarup tarah tarah ki mushkile aati hain.
Bhagwan ki puja har haal mein karni chahiye. Aap sukhi ho tabhi aur dukhi ho tabhi. Na bhulo ki bhagwan apne bhakton par kripa drishti banaye rakhte hain. Sirf sachche bhakton par.

Upay No. 15 – Thali mein khana na chore

Jitna kha sakte hain utna hi lein. Jyada lene par aap chor denge, jo baad mein kure daan mein jata hai jo ki ann ki devi ka apmaan mana jata hai. Kripya iss baat ka dhyan rakhe.

Upay No. 16 – Mehnat karein

Bhagwan bhi uss insaan ki suntan hai jo apni takdir khud likhta hai. Na ki uski jo takdir ke bharose rehta hai. Kaam chor logon ka kabhi bhala nahi hota. Ya to wo chote gunah karte hain yaa bare gunah karne ke swaroop kaanon ke pachron mein par jaate hain.

Note: मेहनत से जी ना चुरायें, धन प्राप्ति के टोटके का अचूक मन्त्र है |

Upay No. 17 – Parayi stri aur dhan se dur rahe

Kisi bhi galat kam ka anjaam bura hi hota hai. Kisi aur ke dhan par ya uski istri par burin ajar rakhoge to laxmi prapti ke upay se dur ho jaoge. Jahan pavitrata hoti hai wahin laxmi viraajmaan hoti hai.

Upay No. 18 – Baron ka samman karein

Jo insaan apne se baro ka aadar nahi karta wo insaan bhagwan ka bhi anadar karta hai. Maa baap bhi bhagwan ka roop hote hain. Chahe aapke maa baap ho yaa kisi aur ke, unka samman karein anyatha dhan prapti ke upay dhundhane chor dein.

Can read: Ameer kaise bane, amir banne ke tarike kya hai ?

Upay No. 19 – yogyata saabit kare

Aap dhan prapti ke totke to dhundh rahe hain par kya aap dhan pane ke yogya hain bhi? Agar bataye huye 21 tarikon mein se koi bhi aap se chhut jata hai to aap ko laxmi prapti ke upay ya totke nahi dhundhne chahiye.

Upay No. 20 – Shri sukt ka path

Shri sukt ka path laxmi maa ko prasann karne ke liye achcha hai. Aap daily shri sukt ka path karein aur ho sake to hawan bhi kar sakte hain. Laxmi prapti ke upay mein se ek behtarin upay hai ye.

Upay No. 21 – Safai Rakhna

Safai sirf ghar ke andar ki hi nahi, safai ghar ke aas paas honi chahiye. Sabse mehtvpoorn hai aapke apne man ki safai. Agar aapka man saaf hai to aapko duniya alag hi najar aayegi. Jis jagah saaf safai nahi hoti us jagah sur nahi asuron ka was hota hai.

Note: कपटी लोगों से इंसान दूर रहते हैं तो भगवान क्यूँ उनके घर वास करने लगे |

Can read: Whatsapp se paise kaise kamaye ?

Conclusion

अभी आपने देखा की dhan prapti ke upay, totke, mantra aur tips kya hai. ये सब सच्ची और सबको पता हो एसी बाते हैं | Phir bhi log uska palan nahi karte hain. Jo karte hain wo ameer ban jaate hain aur jo nahi karte wo daridra hi rehte hain.

Can read: Ghar baithe paise kaise kamaye ?

अगर आपको हमारा content achcha laga laksmi prapti ke upay aur totke to share kare अपने फ्रेंड्स के साथ | Kyunki sharing is caring hota hai. Agar aapko kuch puchna hai ya suggest karna hai to comment section ko use karke puch sakte hain. Otherwise, like ya tweet kare hamare liye. Kyunki aapka har tweet aur like motivate karega hamari team ko interesting and result oriented make money tutorial लिखने के लिए |


No comments:

Post a Comment