Saturday 11 February 2017

Seb, Apple Khane Ke Fayde, Benefits In Hindi







Aaj janenge seb, apple khane ke fayde in Hindi. Best, quick, Apple ke health benefits in Hindi.Ji haan, jo log seb ko ignore karte hain shayad apple ke fayde nahi jante. Aur jo log apple khate hain wo iske fayde ya to jante hain ya phir anjane mein hi apple ka fayda pate hain.




Apple Khane ke Fayde – Rochak Batein


Apple ke fayde health ke liye kya ho sakte hain janne se pehle usse juri kuch jaruri baatein janenge. Ji haan, Apple ya seb to ham kehte,dekhte aur khate hi hain. Par kuch baatein hain jo hum nahi jante. Bas wo hi baatein dekheinge pehle.

Can read: Badam khane ke fayde, Almonds benefits in Hindi.

Seb (Apple) sehat ke liye bohot ache hote hain ye to hum sab jante hain per ise khane se kitne fayde hote hain ye kam logon ko hi pata hota hai. Waise doctors kai bar hume Seb (Apple) khane ki salaah dete hain taki hum chust aur durust rahen aur doctors ke pass jane ki kabhi zarurat na pade.

Seb (Apple) ka Mool (Origin):

Chaliye pehele baat karte hain Seb (Apple) ke origin ki. Seb (Apple) mool roop se dekha jaye to duniya bhar mein ugaaya jata hai per bharat mein khaasker Kashmir, Himachal Pradesh, Uttarakand, Arunachal Pradesh mein ugaaye jate hain. Swaadisht aur rasilaa hone ke sath hi Seb (Apple) atyant mashoor phal hai.

Seb khate samay uske chilke (peel) ko bhi zarur khayen kyunki seb ke jyadater antioxidant gun uske chilke mein hi paye jate hain. Seb (Apple) mein antioxidant, dietary fiber jaise gun paye jate hain jo ek achi sehat ke liye zaruri hota hai. Antioxidants bimariyon se ladne me sahaayak hai.

Iss flavonol yukt Seb (Apple) ko khane se kai tarah ki bimariya aapse dur raheingi, jaise ki:

  • Agnaashaye cancer
  • Ucch raktchaap (hypertension)
  • Madhumeh (diabetes)
  • Hrudya rog (heart disease)

To dekha aapne ki ek apple khane se kitni bimariyon se bach jaoge aap? Isliye to kehte hain:

An apple a day, keeps doctor away.

Accha batao, kya aap jante hain seb mein kya kya hota hai? Nahi na? chaliye pehle wo dekh lete hain:

  • Vitamin A
  • Vitamin B – 6
  • Vitamin B – 12
  • Vitamin C
  • Vitamin D
  • Calcium
  • Magnesium

Seb (Apples) mein fat, sodium or cholesterol naa ke barabar hota hai.

Apple Khane Ke Fayde, Benefits In Hindi


To chaliye ab baat karte hain Seb (Apple) ke fayde ki jo hume milti hai ise khane se. Haan usse pehele hum apko Seb (Apple) ke origin ke bare mein batana zaruri samajhte the . To ab sidhe Seb (Apple) khane se apko kitna nutrition aur vitamin milega uske bare mein baat kareinge.

Mastishk sambandi swaasth mein sudhaar ( Improves neurological health ):

Seb (Apples) Cellular death ke risk ko kam karta hai, jo ki neurons mein sujan ane se aur oxidation ki wajah se hote hain.

Stroke ka khataraa kam hota hai ( Reduces the risk of stroke ):

Rozana seb khane se dil ki bimari jise thrombotic stroke ka khataraa bhi kam hota hai, Matlab Seb (Apple) Dil ke liye faydemand hai.

Bad cholesterol ko kam karta hai (Lowers level of bad cholesterol ):

Seb mein paya jane wala ghulansheel fiber cholesterol level ko kam karne mein kargar paya gaya hai.

Madhumeh ke khatare ko kam karta hai ( Reduces the risk of diabetes ):

Seb ke ghulansheel fiber khoon mein sugar level ko kamzor / kam (reduce) karte hain jisse Madhumeh nhi hota. Madhumeh ke patients bhi rozana 1 Seb kha sakte hain.

Stan cancer se bachata hai ( Prevent from breast cancer ):

Seb ko chilke ke sath khane se breast cancer ke tumor badhte nhi, unme kami aati hai. Sath hi ye aur kai tarah ke problem se bachata hai jaise aanth, phephade, paachan tantra, aur muh.

Pathari se bachata hai Seb ( Prevents gallstones):

Cholesterol aur weight ke badh jane se pathari ke chances bhi badh jate hain.Jab cholesterol bohot jyada ho jata hai ye maas ban ke solid ke form mein aa jata hai. Pathari se bachne ke liye doctors aisa diet recommend karte hain khas tur per Seb (Apples) jisme fibre ki matra jyada ho aur jo weight aur cholesterol control karne ka kaam kare.

Motaapa ( Obesity ):

Motaapa kam karne mein madad karta hai. Sath hi motaape se judi pareshaniyan bhi dur karta hai.

Seb Dast aur kabz ko maat deta hai ( Beats diarrhea and constipation ):

Chahe aapko bathroom jane ki naubat nhi aa rahi ho ya bathroom baar baar bhaagna pad raha ho, Fiber yukt Seb apki iss pareshani ko dur kar sakte hain. Fibre ya to apke pet se pani kheech sakte hain taki apka pet saaf ho jaye aur ye mal se pani sokh bhi sakte hain taki baar baar bathroom jane ki gati slow ho jaye.

Seb Bawaaseer ke khatre ko taalta hai ( Averts hemorrhoids ):

Bawaaseer guda nahar mein hone wali sujan hai jo kafi dard kaarak ho sakti hai. Jab Mal tyagte samay atyaadhik pressure padta hai guda shetra per, tab bawaaseer ki samasyaa utpann hoti hai. Fiber ke karaan aapko mal tyaagte waqt zor nhi dena padega jis wajah se Bawaaseer se aap jald hi nijaat paa sakte hain.

Seb mein maujood compounds Damaa se bachata hai ( Apples Contain Compounds That Can Help Fight Asthma )

Antioxidant yukt Seb phephado ko oxidative shati se raksha karta hai. Seb ke antioxidant aur anti inflammatory compounds pratiraksha pratikriya ko niyantran mein rakhta hai. Inhi karano se Dama ki shikaayat nhi rehti.

Seb haddiyo ke liye achcha hai ( Apples May Be Good for Bone Health )

Seb ke antioxidant and anti-inflammatory compounds haddiyon ko mazboot banata eating fruit can help preserve bone mass as you age. Haddiyon ke ache swasth / mazbooti ke liye rozana Seb khana zaruri hai

Seb ke fayde hamare dimag ko bhi milte hain (The Antioxidants in Apples May Help Protect Your Brain ):

Rozana Seb khane se dimaag swasth rehta hai aur budhaape mein hone wali bhulne ki samasyaa nhi hoti. Smaran shakti achi rehti hai.

Conclusion

Doston, hamne dekha ki apple khan eke fayde, health benefits in Hindi kya hai. Aur doston, agar apko healthy rehna hai to khud bhi khayein aur apne friends ke sath bhi share karein. Kyunki sharing is caring aur ye to sach mein share karne wali baat hai.

Agar apko hamara aaj ka article achcha laga Seb khane ke fayde ya benefits in Hindi par. To please hame like karein ya tweet karein hamare liye. Aapka har ek like ya tweet hamko motivate karega aur achcha likhne ke liye. Aap chaho to dusre Health benefits, Suvichar collection dekh sakte ho hamare health benefits section mein.


No comments:

Post a Comment